kyon ai KHayal-e-yar tujhe kya KHabar nahin
kyoñ ai ḳhayāl-e-yār tujhe kyā ḳhabar nahīñ
maiñ kyoñ batā.ūñ dard kidhar hai kidhar nahīñ
nashtar kā kaam kyā hai ab achchhā hai dard-e-dil
sadqe tire nahīñ nahīñ ai chāra-gar nahīñ
kahtī hai ahl-e-zauq se betābi-e-ḳhayāl
jis meñ ye iztirāb kī ḳhū ho bashar nahīñ
hastī kā qāfila sar-e-manzil pahuñch gayā
aur ham kahā kiye abhī vaqt-e-safar nahīñ
dīvān-gān-e-ishq pe kyā jaane kyā banī
vāraftagī-e-husn ko apnī ḳhabar nahīñ
duniyā-e-dard-e-dil hai to duniyā-e-shauq-e-rūh
hoñ aur bhī jahāñ mujhe kuchh bhī ḳhabar nahīñ
sahrā-e-ishq-o-hastī-e-mauhūm-o-rāz-e-husn
in manziloñ meñ dil sā koī rāhbar nahīñ
har zarra jis se ik dil-e-muztar na ban sake
vo koī aur chiiz hai terī nazar nahīñ
is be-dilī se kahne kā 'beḳhud' ma.aal kyā
alfāz kuchh haiñ jam.a ma.ānī magar nahīñ
kyon ai KHayal-e-yar tujhe kya KHabar nahin
main kyon bataun dard kidhar hai kidhar nahin
nashtar ka kaam kya hai ab achchha hai dard-e-dil
sadqe tere nahin nahin ai chaara-gar nahin
kahti hai ahl-e-zauq se betabi-e-KHayal
jis mein ye iztirab ki KHu ho bashar nahin
hasti ka qafila sar-e-manzil pahunch gaya
aur hum kaha kiye abhi waqt-e-safar nahin
diwan-gan-e-ishq pe kya jaane kya bani
waraftagi-e-husn ko apni KHabar nahin
duniya-e-dard-e-dil hai to duniya-e-shauq-e-ruh
hon aur bhi jahan mujhe kuchh bhi KHabar nahin
sahra-e-ishq-o-hasti-e-mauhum-o-raaz-e-husn
in manzilon mein dil sa koi rahbar nahin
har zarra jis se ek dil-e-muztar na ban sake
wo koi aur chiz hai teri nazar nahin
is be-dili se kahne ka 'beKHud' maal kya
alfaz kuchh hain jama maani magar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.