kyon andheri khiDkiyon se jhankta rahta hun main
kyoñ añdherī khiḌkiyoñ se jhāñktā rahtā huuñ maiñ
jab ki duniyā so chukī ho jāgtā rahtā huuñ maiñ
chaar dīvāreñ tamāsha dekhtī haiñ roz raat
nāchtī hai zindagī aur tāktā rahtā huuñ maiñ
haa.e ye shoḳhī ki kitne miT ga.e muskān par
haath phailā.e khaḌī hai bhāgtā rahtā huuñ maiñ
ruuh būḌhī ho chukī hai phaT chukā hai pairahan
zaḳhm taaze ho rahe haiñ Tāñktā rahtā huuñ maiñ
ye mire apne ikaTThā kar rahe haiñ kyā karūñ
zahr jo din-rāt tanhā phāñktā rahtā huuñ maiñ
kyon andheri khiDkiyon se jhankta rahta hun main
jab ki duniya so chuki ho jagta rahta hun main
chaar diwaren tamasha dekhti hain roz raat
nachti hai zindagi aur takta rahta hun main
hae ye shoKHi ki kitne miT gae muskan par
hath phailae khaDi hai bhagta rahta hun main
ruh buDhi ho chuki hai phaT chuka hai pairahan
zaKHm taze ho rahe hain Tankta rahta hun main
ye mere apne ikaTTha kar rahe hain kya karun
zahr jo din-raat tanha phankta rahta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.