kyon bayaban bayaban bhaTakta phira kyon pareshan raha gham-gazida raha
kyon bayaban bayaban bhaTakta phira kyon pareshan raha gham-gazida raha
Nashtar Khaanqahi
MORE BYNashtar Khaanqahi
kyoñ bayābāñ bayābāñ bhaTaktā phirā kyoñ pareshāñ rahā ġham-gazīda rahā
aaj ik naujavāñ mujh se kahne lagā qais pāgal thā dāman-darīda rahā
merī rāhoñ meñ gumnām galiyāñ bhī thiiñ qasr-e-yārāñ bhī thā shahr-e-aġhyār bhī
maiñ kisī āstāne kā patthar na thā bū-e-gul thā ki har sū parīda rahā
jaane kitne musāfir yahāñ aa.e haiñ an-ginat naam haiñ saqf o mehrāb par
ik purānī imārat ke saa.e tale maiñ bahut der tak āb-dīda rahā
ajnabī ban ke rātoñ kī tanhā.ī meñ mujh se merā pata pūchhte hī rahe
ye mire lab jo barsoñ muqaffal rahe ye mirā sar jo sadiyoñ ḳhamīda rahā
tum kitāboñ meñ mahfūz kar lo mujhe kyā ajab hai koī paḌhne vaalā mile
maiñ vo āvāz huuñ jis kā sāme.a nahīñ maiñ vo lahja huuñ jo nā-shunīda rahā
kyon bayaban bayaban bhaTakta phira kyon pareshan raha gham-gazida raha
aaj ek naujawan mujh se kahne laga qais pagal tha daman-darida raha
meri rahon mein gumnam galiyan bhi thin qasr-e-yaran bhi tha shahr-e-aghyar bhi
main kisi aastane ka patthar na tha bu-e-gul tha ki har su parida raha
jaane kitne musafir yahan aae hain an-ginat nam hain saqf o mehrab par
ek purani imarat ke sae tale main bahut der tak aab-dida raha
ajnabi ban ke raaton ki tanhai mein mujh se mera pata puchhte hi rahe
ye mere lab jo barson muqaffal rahe ye mera sar jo sadiyon KHamida raha
tum kitabon mein mahfuz kar lo mujhe kya ajab hai koi paDhne wala mile
main wo aawaz hun jis ka samea nahin main wo lahja hun jo na-shunida raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.