kyon bhala aadha-adhura ishq kije
kyoñ bhalā ādhā-adhūrā 'ishq kiije
she'r kahiye 'ishq par yā 'ishq kiije
jo likhā hai jo paḌhā hai jo kiyā hai
sab bhulā degī ye duniyā 'ishq kiije
hai sivā.e 'ishq ḳhud-muḳhtār koī
'ishq ke dam se hai duniyā 'ishq kiije
aap lā-sānī haiñ lā-fānī bhī haiñ kyā
roiye mat ek sachchā 'ishq kiije
ye zamāne kā gila kyoñ aur kab tak
kuchh nahīñ hai ye zamāna 'ishq kiije
mere murshid ne kahā phir muskurā kar
aur khil uTThegā chehra 'ishq kiije
kyon bhala aadha-adhura 'ishq kije
she'r kahiye 'ishq par ya 'ishq kije
jo likha hai jo paDha hai jo kiya hai
sab bhula degi ye duniya 'ishq kije
hai siwae 'ishq KHud-muKHtar koi
'ishq ke dam se hai duniya 'ishq kije
aap la-sani hain la-fani bhi hain kya
roiye mat ek sachcha 'ishq kije
ye zamane ka gila kyon aur kab tak
kuchh nahin hai ye zamana 'ishq kije
mere murshid ne kaha phir muskura kar
aur khil uTThega chehra 'ishq kije
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 31)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.