kyon bhala chilman ko sarkane pe wo mail nahin
kyon bhala chilman ko sarkane pe wo mail nahin
Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
MORE BYSyed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
kyoñ bhalā chilman ko sarkāne pe vo maa.il nahīñ
kaun sā dariyā hai vo jis kā koī sāhil nahīñ
dar-haqīqat hai yahī me.arāj-e-ishq-o-āshiqī
mere us ke darmiyāñ ab koī bhī haa.il nahīñ
us kī shamshīr-e-nazar ne chaak kar Daalā jigar
bevafā hote hue lagtā hai vo buzdil nahīñ
paḌh liyā āñkhoñ ke ḳhāme se likhī tahrīr ko
maslak-e-ushshāq shāhid hai ki maiñ jāhil nahīñ
ishq ke chehre pe badnāmī kā ġhāza mal diyā
koī chādar koī parda koī bhī mahmil nahīñ
qabl-az-rusvā.ī is ahqar se kar lete savāl
zāhiran to saḳht huuñ lekin maiñ patthar-dil nahīñ
ban sake jo aap ke maġhrūr māthe kā tilak
kyā hamāre ḳhuun kī surḳhī bhī is qābil nahīñ
merī ġhurbat dekh kar patthar bhī ḳhuuñ royā kiye
jab ki be-jānoñ ke sīnoñ meñ koī bhī dil nahīñ
koī naala koī girya koī aañsū koī aah
koī fariyād-e-alam-añgez lā-hāsil nahīñ
huuñ tanīn-e-ishq kī vaadī meñ misl-e-gum-shuda
yād-e-yārāñ se mubarrā koī sī mahfil nahīñ
dar-ba-dar qarya-ba-qarya kū-ba-kū dīvāna-vār
har jagah DhūñDā use lekin koī hāsil nahīñ
ḳhastagī se sar jhukā kar qalb meñ jab kī nazar
tab lagā us zaat se ik lamha ḳhālī dil nahīñ
mustaqil maiñ kar rahā huuñ ātishī dariyā ubuur
qasd-e-mohkam ho to koī kaam bhī mushkil nahīñ
ai 'falak' maiñ ne jalā Daalī haiñ saarī kashtiyāñ
kyūñki is manzil se aage koī bhī manzil nahīñ
kyon bhala chilman ko sarkane pe wo mail nahin
kaun sa dariya hai wo jis ka koi sahil nahin
dar-haqiqat hai yahi mearaj-e-ishq-o-ashiqi
mere us ke darmiyan ab koi bhi hail nahin
us ki shamshir-e-nazar ne chaak kar Dala jigar
bewafa hote hue lagta hai wo buzdil nahin
paDh liya aankhon ke KHame se likhi tahrir ko
maslak-e-ushshaq shahid hai ki main jahil nahin
ishq ke chehre pe badnami ka ghaza mal diya
koi chadar koi parda koi bhi mahmil nahin
qabl-az-ruswai is ahqar se kar lete sawal
zahiran to saKHt hun lekin main patthar-dil nahin
ban sake jo aap ke maghrur mathe ka tilak
kya hamare KHun ki surKHi bhi is qabil nahin
meri ghurbat dekh kar patthar bhi KHun roya kiye
jab ki be-jaanon ke sinon mein koi bhi dil nahin
koi nala koi girya koi aansu koi aah
koi fariyaad-e-alam-angez la-hasil nahin
hun tanin-e-ishq ki wadi mein misl-e-gum-shuda
yaad-e-yaran se mubarra koi si mahfil nahin
dar-ba-dar qarya-ba-qarya ku-ba-ku diwana-war
har jagah DhunDa use lekin koi hasil nahin
KHastagi se sar jhuka kar qalb mein jab ki nazar
tab laga us zat se ek lamha KHali dil nahin
mustaqil main kar raha hun aatishi dariya ubur
qasd-e-mohkam ho to koi kaam bhi mushkil nahin
ai 'falak' main ne jala Dali hain sari kashtiyan
kyunki is manzil se aage koi bhi manzil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.