kyon bhala DhunDte jaun tere raste jaanan
kyon bhala DhunDte jaun tere raste jaanan
Ikramullah Khan Azhar
MORE BYIkramullah Khan Azhar
kyoñ bhalā DhūñDte jā.ūñ tire raste jānāñ
tū rag-e-jāñ se bhī nazdīk hai mere jānāñ
bevafā.ī kī bhalā mujh se shikāyat kaisī
tū ne ḳhud ḳhud pe lagā.e haiñ ye pahre jānāñ
dil pe sau baar rafū aur rafū kyā ma.anī
zaḳhm itne to na the dil ke ye gahre jānāñ
maiñ to kal bhī thā vahī aaj vahī kal bhī vahī
log chehre pe lagā lete haiñ chehre jānāñ
kuchh na.e haiñ to nahīñ mere marāsim us se
the azal hī se ta.alluq mire gahre jānāñ
kyon bhala DhunDte jaun tere raste jaanan
tu rag-e-jaan se bhi nazdik hai mere jaanan
bewafai ki bhala mujh se shikayat kaisi
tu ne KHud KHud pe lagae hain ye pahre jaanan
dil pe sau bar rafu aur rafu kya mani
zaKHm itne to na the dil ke ye gahre jaanan
main to kal bhi tha wahi aaj wahi kal bhi wahi
log chehre pe laga lete hain chehre jaanan
kuchh nae hain to nahin mere marasim us se
the azal hi se talluq mere gahre jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.