kyon dar-ba-dar phirun meri qismat mein kya nahin
kyon dar-ba-dar phirun meri qismat mein kya nahin
Hakim Fasihuddin Ranj
MORE BYHakim Fasihuddin Ranj
kyoñ dar-ba-dar phirūñ mirī qismat meñ kyā nahīñ
but āshnā nahīñ hai mirā yā ḳhudā nahīñ
ik baar aur merī ayādat ko aa.iye
achchhī tarah se maiñ abhī achchhā huā nahīñ
maiñ ḳhuub jāntā huuñ lagāvaT ko aap kī
āñkheñ to mil rahī haiñ magar dil milā nahīñ
āñkheñ laḌī huī haiñ guloñ kī bahār par
nargis kī TikTikī ko koī dekhtā nahīñ
din kāTne ko ḳhuub to hai dil-lagī kī raah
achchhā hai jī lagā jo kisī se burā nahīñ
Dartā hai roz-e-hashr kī saḳhtī se kis liye
kyā tū tabīb ḳhādim-e-ḳhair-ul-varā nahīñ
kyon dar-ba-dar phirun meri qismat mein kya nahin
but aashna nahin hai mera ya KHuda nahin
ek bar aur meri ayaadat ko aaiye
achchhi tarah se main abhi achchha hua nahin
main KHub jaanta hun lagawaT ko aap ki
aankhen to mil rahi hain magar dil mila nahin
aankhen laDi hui hain gulon ki bahaar par
nargis ki TikTiki ko koi dekhta nahin
din kaTne ko KHub to hai dil-lagi ki rah
achchha hai ji laga jo kisi se bura nahin
Darta hai roz-e-hashr ki saKHti se kis liye
kya tu tabib KHadim-e-KHair-ul-wara nahin
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 61)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.