kyon dilon ka sukun luTa aaKHir
kyoñ diloñ kā sukūñ luTā āḳhir
log kyā kar ga.e ḳhatā āḳhir
ho gayā vo bhī bevafā āḳhir
jis kā Dar thā vahī huā āḳhir
jaane vaalī sadī se pūchhe kaun
ḳhuun kyoñ is qadar bahā āḳhir
kyoñ nigāheñ badal ga.iiñ terī
kyā ḳhatā maiñ ne kī batā āḳhir
vaqt-e-āḳhir ye diin kī bāteñ
yaad aayā unheñ ḳhudā āḳhir
dil-e-ḳhāna-ḳharāb ke hāthoñ
zindagī ban ga.ī sazā āḳhir
dard-e-dil kā bahut ilaaj kiyā
ye maraz niklā lā-davā āḳhir
maiñ ne jis par bhī e.atibār kiyā
haif vo de gayā daġhā āḳhir
ham-safar us kā saath chhoḌ ga.e
'nāz' tanhā hī rah gayā āḳhir
kyon dilon ka sukun luTa aaKHir
log kya kar gae KHata aaKHir
ho gaya wo bhi bewafa aaKHir
jis ka Dar tha wahi hua aaKHir
jaane wali sadi se puchhe kaun
KHun kyon is qadar baha aaKHir
kyon nigahen badal gain teri
kya KHata main ne ki bata aaKHir
waqt-e-aKHir ye din ki baaten
yaad aaya unhen KHuda aaKHir
dil-e-KHana-KHarab ke hathon
zindagi ban gai saza aaKHir
dard-e-dil ka bahut ilaj kiya
ye maraz nikla la-dawa aaKHir
main ne jis par bhi eatibar kiya
haif wo de gaya dagha aaKHir
ham-safar us ka sath chhoD gae
'naz' tanha hi rah gaya aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.