Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyon hai teri aankh nam jo ho gaya so ho gaya

Manzar Suhai

kyon hai teri aankh nam jo ho gaya so ho gaya

Manzar Suhai

MORE BYManzar Suhai

    kyoñ hai terī aañkh nam jo ho gayā so ho gayā

    yuuñ na kar ḳhud par sitam jo ho gayā so ho gayā

    ashk-bārī sogvārī āh-o-zārī iztirāb

    bhuul ab saare ġham jo ho gayā so ho gayā

    aisī thī vo vaisī thī allāh jaane kaisī thī

    bas bhī kar ab ai sanam jo ho gayā so ho gayā

    Thahrnā ai ibn-e-ādam tujh pe nā-zebā hai ab

    baḌhtā har ik qadam jo ho gayā so ho gayā

    bhuul tārīḳheñ saarī ab purānī ai 'suhail'

    kar na.e qisse raqam jo ho gayā so ho gayā

    kyon hai teri aankh nam jo ho gaya so ho gaya

    yun na kar KHud par sitam jo ho gaya so ho gaya

    ashk-bari sogwari aah-o-zari iztirab

    bhul ja ab sare gham jo ho gaya so ho gaya

    aisi thi wo waisi thi allah jaane kaisi thi

    bas bhi kar ab ai sanam jo ho gaya so ho gaya

    Thahrna ai ibn-e-adam tujh pe na-zeba hai ab

    baDhta ja har ek qadam jo ho gaya so ho gaya

    bhul ja tariKHen sari ab purani ai 'suhail'

    kar nae qisse raqam jo ho gaya so ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now