Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyon hain wo tegh-ba-kaf aur KHafa kya jaane

Fazal Husain Sabir

kyon hain wo tegh-ba-kaf aur KHafa kya jaane

Fazal Husain Sabir

MORE BYFazal Husain Sabir

    kyoñ haiñ vo teġh-ba-kaf aur ḳhafā kyā jaane

    aaj kis shaḳhs aa.ī hai qazā kyā jaane

    terā bīmār-e-ġham-e-hijr shifā kyā jaane

    kaisī hotī hai davā aur duā kyā jaane

    ham se pūchho hameñ ma.alūm hai ham jānte haiñ

    ġhair kam-baḳht mohabbat mazā kyā jaane

    duur ho paas se kambaḳht tabīb-e-nādāñ

    bhalā dard-e-mohabbat davā kyā jaane

    pūchhā jab maiñ ne ki ai jaan mirā dil hai kahāñ

    ban ke anjān sitamgar ne kahā kyā jaane

    mai-e-angūr kartā hai mazammat vaa.iz

    us lazzat ko ai mard-e-ḳhudā kyā jaane

    bulbul-e-zār hai muddat se asīr-e-sayyād

    āj-kal kaisī hai gulshan havā kyā jaane

    ai dil-e-zār abas un se hai ummīd-e-vafā

    jo jafā-pesha ho zālim ho vafā kyā jaane

    yaar kamsin bhī hai nādān bhī hai ai 'sābir'

    vo abhī dil ke lubhāne adā kyā jaane

    kyon hain wo tegh-ba-kaf aur KHafa kya jaane

    aaj kis shaKHs ki aai hai qaza kya jaane

    tera bimar-e-gham-e-hijr shifa kya jaane

    kaisi hoti hai dawa aur dua kya jaane

    hum se puchho hamein malum hai hum jaante hain

    ghair kam-baKHt mohabbat ka maza kya jaane

    dur ho pas se kambaKHt tabib-e-nadan

    tu bhala dard-e-mohabbat ki dawa kya jaane

    puchha jab main ne ki ai jaan mera dil hai kahan

    ban ke anjaan sitamgar ne kaha kya jaane

    mai-e-angur ki karta hai mazammat waiz

    us ki lazzat ko tu ai mard-e-KHuda kya jaane

    bulbul-e-zar hai muddat se asir-e-sayyaad

    aaj-kal kaisi hai gulshan ki hawa kya jaane

    ai dil-e-zar abas un se hai ummid-e-wafa

    jo jafa-pesha ho zalim ho wafa kya jaane

    yar kamsin bhi hai nadan bhi hai ai 'sabir'

    wo abhi dil ke lubhane ki ada kya jaane

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now