kyon ho gae haqir KHud apni nigah mein
kyoñ ho ga.e haqīr ḳhud apnī nigāh meñ
kyā dekh aa.e ham ye tirī jalva-gāh meñ
kyā kyā gumāñ haiñ ham pe hamārī nigāh ko
ham jab se aa base haiñ tumhārī nigāh meñ
ḳhud husn se bhī bach ke guzarnā paḌā jahāñ
aa.e vo marhale bhī mohabbat kī raah meñ
ye kin bulandiyoñ kā tajassus nazar ko hai
lagtā nahīñ dil anjuman-e-mehr-o-māh meñ
miT hī chuke the razm-gah-e-zindagī meñ ham
qismat se aa ga.e tire ġham kī panāh meñ
tum ne mujhe banā ke gunāhgār-e-ārzū
bhar dī haiñ jannateñ mire zauq-e-gunāh meñ
tamhīd-e-shauq kī bhī shikāyat laboñ pe hai
takmīl-e-shauq ke bhī taqāze nigāh meñ
karte shikāyat-e-sitam-e-be-hisāb kyā
ham kho ke rah ga.e karam-e-gāh-gāh meñ
ye kyā ḳhayāl hai tujhe ai qalb-e-nā-murād
koī sharīk ho tire hāl-e-tabāh meñ
'maḳhmūr' shām-e-ġham kī fazā.eñ sulag uThīñ
kis ātish-e-nihāñ ke sharāre the aah meñ
kyon ho gae haqir KHud apni nigah mein
kya dekh aae hum ye teri jalwa-gah mein
kya kya guman hain hum pe hamari nigah ko
hum jab se aa base hain tumhaari nigah mein
KHud husn se bhi bach ke guzarna paDa jahan
aae wo marhale bhi mohabbat ki rah mein
ye kin bulandiyon ka tajassus nazar ko hai
lagta nahin dil anjuman-e-mehr-o-mah mein
miT hi chuke the razm-gah-e-zindagi mein hum
qismat se aa gae tere gham ki panah mein
tum ne mujhe bana ke gunahgar-e-arzu
bhar di hain jannaten mere zauq-e-gunah mein
tamhid-e-shauq ki bhi shikayat labon pe hai
takmil-e-shauq ke bhi taqaze nigah mein
karte shikayat-e-sitam-e-be-hisab kya
hum kho ke rah gae karam-e-gah-gah mein
ye kya KHayal hai tujhe ai qalb-e-na-murad
koi sharik ho tere haal-e-tabah mein
'maKHmur' sham-e-gham ki fazaen sulag uThin
kis aatish-e-nihan ke sharare the aah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.