kyon ho mujhse KHafa kaho to sahi
kyoñ ho mujh se ḳhafā kaho to sahī
kyā hai merī ḳhatā kaho to sahī
hañste hañste chhalak paḌīñ āñkheñ
kaun yaad aa gayā kaho to sahī
is qadar ham se barhamī kyoñ hai
kis ne kyā kah diyā kaho to sahī
shīsha-e-dil ko toḌ kar mere
aap ko kyā milā kaho to sahī
kis ne kis ko bhulā diyā āḳhir
kaun hai be-vafā kaho to sahī
jān-levā haiñ hijr ke lamhe
ab na hoñge judā kaho to sahī
kho.e kho.e se rahte ho 'ālam'
ye tumheñ kyā huā kaho to sahī
kyon ho mujh se KHafa kaho to sahi
kya hai meri KHata kaho to sahi
hanste hanste chhalak paDin aankhen
kaun yaad aa gaya kaho to sahi
is qadar hum se barhami kyon hai
kis ne kya kah diya kaho to sahi
shisha-e-dil ko toD kar mere
aap ko kya mila kaho to sahi
kis ne kis ko bhula diya aaKHir
kaun hai be-wafa kaho to sahi
jaan-lewa hain hijr ke lamhe
ab na honge juda kaho to sahi
khoe khoe se rahte ho 'alam'
ye tumhein kya hua kaho to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.