kyon ho na hamein ishq-e-sanam aur ziyaada
kyon ho na hamein ishq-e-sanam aur ziyaada
Nawab Umrao Bahadur Diler
MORE BYNawab Umrao Bahadur Diler
kyoñ ho na hameñ ishq-e-sanam aur ziyāda
detā hai maza ishq kā ġham aur ziyāda
dil to evaz-e-bosa diyā tum ne jigar bhī
lī muft meñ ye ek raqam aur ziyāda
likhtā huuñ tujhe terī rukāvaT kā jo shikva
chaltā hai mirā ruk ke qalam aur ziyāda
detā huuñ tirī shoḳh nigāhoñ se hī tashbīh
ram karte haiñ āhū-e-haram aur ziyāda
paspā na huā qais se maidān-e-vafā meñ
baḌhtā hī rahā apnā qadam aur ziyāda
ho jaate haiñ jab ham se kashīda tire abrū
khīñchtī hai tirī teġh-e-do-dam aur ziyāda
hotā huuñ 'diler' un se jo maiñ lutf kā ḳhvāhāñ
vo karte haiñ rah rah ke sitam aur ziyāda
kyon ho na hamein ishq-e-sanam aur ziyaada
deta hai maza ishq ka gham aur ziyaada
dil to ewaz-e-bosa diya tum ne jigar bhi
li muft mein ye ek raqam aur ziyaada
likhta hun tujhe teri rukawaT ka jo shikwa
chalta hai mera ruk ke qalam aur ziyaada
deta hun teri shoKH nigahon se hi tashbih
ram karte hain aahu-e-haram aur ziyaada
paspa na hua qais se maidan-e-wafa mein
baDhta hi raha apna qadam aur ziyaada
ho jate hain jab hum se kashida tere abru
khinchti hai teri tegh-e-do-dam aur ziyaada
hota hun 'diler' un se jo main lutf ka KHwahan
wo karte hain rah rah ke sitam aur ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.