kyon hua bab wa udasi ka
kyoñ huā baab vā udāsī kā
kuchh bigāḌā hai kyā udāsī kā
maiñ ne kāġhaz pe sher likh kar phir
rañg us meñ bharā udāsī kā
muskurātā chalā gayā phir maiñ
dil bahut thā jalā udāsī kā
tum mire ghar dobāra aa.e ho
phuul phir se khilā udāsī kā
mirī tishna-labī miTā saaqī
ek sāgar pilā udāsī kā
kis ne toḌā shajar mire ghar se
ki parinda uḌā udāsī kā
nahīñ ma.alūm tujh ko bhī 'hamza'
tū bhī hai manchalā udāsī kā
kyon hua bab wa udasi ka
kuchh bigaDa hai kya udasi ka
main ne kaghaz pe sher likh kar phir
rang us mein bhara udasi ka
muskuraata chala gaya phir main
dil bahut tha jala udasi ka
tum mere ghar dobara aae ho
phul phir se khila udasi ka
meri tishna-labi miTa saqi
ek sagar pila udasi ka
kis ne toDa shajar mere ghar se
ki parinda uDa udasi ka
nahin malum tujh ko bhi 'hamza'
tu bhi hai manchala udasi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.