kyon iltija-e-shauq sar-e-bazm ki gai
kyoñ iltijā-e-shauq sar-e-bazm kī ga.ī
sunñā to darkinār yahāñ baat bhī ga.ī
pās-e-hijāb-e-husn hamesha rahā mujhe
dil ke ḳhamosh saaz se āvāz dī ga.ī
naġhmoñ ko sun ke bhī mire aañsū Tapak paḌe
mujh se mirī tamām ḳhushī chhīn lī ga.ī
maiñ sajda kar rahā huuñ ḳhud apne hī aks ko
kyā un ke saath meñ mirī tasvīr lī ga.ī
kuchh kah rahā thā dāvar-e-mahshar ke sāmne
duzdīda ik nazar mire hoñToñ ko sī ga.ī
maiñ vo ki tum pe kar dī fidā dil kī kā.enāt
tum vo ki ek lamha tasallī na dī ga.ī
aap aa.e bahr-e-pursish-e-ahvāl shukriya
kyoñ ġham-nasīb ke liye taklīf kī ga.ī
'jauhar' azal ke roz jo baTne lage nasīb
ik bevafā se merī mohabbat likhī ga.ī
kyon iltija-e-shauq sar-e-bazm ki gai
sunna to darkinar yahan baat bhi gai
pas-e-hijab-e-husn hamesha raha mujhe
dil ke KHamosh saz se aawaz di gai
naghmon ko sun ke bhi mere aansu Tapak paDe
mujh se meri tamam KHushi chhin li gai
main sajda kar raha hun KHud apne hi aks ko
kya un ke sath mein meri taswir li gai
kuchh kah raha tha dawar-e-mahshar ke samne
duzdida ek nazar mere honTon ko si gai
main wo ki tum pe kar di fida dil ki kaenat
tum wo ki ek lamha tasalli na di gai
aap aae bahr-e-pursish-e-ahwal shukriya
kyon gham-nasib ke liye taklif ki gai
'jauhar' azal ke roz jo baTne lage nasib
ek bewafa se meri mohabbat likhi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.