kyon kaha ye kisi se kya matlab
kyoñ kahā ye kisī se kyā matlab
isī kahne se khul gayā matlab
baat puurī nahīñ kahī maiñ ne
ki vo tarrār le uḌā matlab
maiñ kahe jā.ūñ tum sune jaao
ek ke baa'd dūsrā matlab
hai mirā dard aap kī rāhat
hai mire paas aap kā matlab
kabhī kahtā huuñ dil se ḳhuub kiyā
kabhī kahtā huuñ kyoñ kahā matlab
dil meñ ghuT ghuT ke rah ga.ī hasrat
lab par aa aa ke rah gayā matlab
hazrat-e-'dāġh' tauba karte haiñ
kaash puurā kare ḳhudā matlab
kyon kaha ye kisi se kya matlab
isi kahne se khul gaya matlab
baat puri nahin kahi main ne
ki wo tarrar le uDa matlab
main kahe jaun tum sune jao
ek ke ba'd dusra matlab
hai mera dard aap ki rahat
hai mere pas aap ka matlab
kabhi kahta hun dil se KHub kiya
kabhi kahta hun kyon kaha matlab
dil mein ghuT ghuT ke rah gai hasrat
lab par aa aa ke rah gaya matlab
hazrat-e-'dagh' tauba karte hain
kash pura kare KHuda matlab
- Book : Rekhta ke Daagh_Final 2020.pdf (Pg. 57)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.