kyon KHata hain tere ausan meri jaan bata
kyoñ ḳhatā haiñ tire ausān mirī jaan batā
ho na ho tū hai pareshān mirī jaan batā
dekh chehra ye tirā khā bhī rahā hai chuġhlī
yuuñ na ban be-vajah anjān mirī jaan batā
sun chukā bas maiñ bahut aur nahīñ sunñī hai
kuchh nahīñ hai kī ye gardān mirī jaan batā
imtihāñ hai to maiñ āsān kiye detā huuñ
chhoḌ qissa faqat unvān mirī jaan batā
dekh maiñ chhoḌ ke ghar-bār yahāñ pahuñchā huuñ
ho rahā hai mirā nuqsān mirī jaan batā
go mirā naam hai tārīf bhī lekin mujh pe
kar guzar aaj ye 'ehsān' mirī jaan batā
kyon KHata hain tere ausan meri jaan bata
ho na ho tu hai pareshan meri jaan bata
dekh chehra ye tera kha bhi raha hai chughli
yun na ban be-wajah anjaan meri jaan bata
sun chuka bas main bahut aur nahin sunni hai
kuchh nahin hai ki ye gardan meri jaan bata
imtihan hai to main aasan kiye deta hun
chhoD qissa faqat unwan meri jaan bata
dekh main chhoD ke ghar-bar yahan pahuncha hun
ho raha hai mera nuqsan meri jaan bata
go mera nam hai tarif bhi lekin mujh pe
kar guzar aaj ye 'ehsan' meri jaan bata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.