kyon khaTakta hai mera teri nazar mein rahna
kyon khaTakta hai mera teri nazar mein rahna
Jameel Ahmad Khan Jameel
MORE BYJameel Ahmad Khan Jameel
kyoñ khaTaktā hai mirā terī nazar meñ rahnā
gard pairoñ kī bhī ye chāhe ki sar meñ rahnā
dil-e-pur-shauq mubārak ho nazar meñ rahnā
kis kī taqdīr meñ hai prem-nagar meñ rahnā
dil-e-barbād meñ hasrat bhī nahīñ hai koī
kis ko manzūr hai ujḌe hue ghar meñ rahnā
gir ke nazroñ se na mil jaa.e tū miTTī meñ kahīñ
ashk-e-ġham tujh ko qasam dīda-e-tar meñ rahnā
mujh pe kyā vaqt ye aayā hai vatan meñ logo
ghar meñ rahte hue āsāñ nahīñ ghar meñ rahnā
ishq gar raas na aayā to kahāñ husn-e-jamīl
kyā mayassar ho hasīnoñ ke nagar meñ rahnā
kyon khaTakta hai mera teri nazar mein rahna
gard pairon ki bhi ye chahe ki sar mein rahna
dil-e-pur-shauq mubarak ho nazar mein rahna
kis ki taqdir mein hai prem-nagar mein rahna
dil-e-barbaad mein hasrat bhi nahin hai koi
kis ko manzur hai ujDe hue ghar mein rahna
gir ke nazron se na mil jae tu miTTi mein kahin
ashk-e-gham tujh ko qasam dida-e-tar mein rahna
mujh pe kya waqt ye aaya hai watan mein logo
ghar mein rahte hue aasan nahin ghar mein rahna
ishq gar ras na aaya to kahan husn-e-jamil
kya mayassar ho hasinon ke nagar mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.