kyon KHayal-e-ruKH-e-mahbub ka ehsan hota
kyoñ ḳhayāl-e-ruḳh-e-mahbūb kā ehsāñ hotā
dil jalā thā to charāġh-e-shab-e-hijrāñ hotā
iid hotī tire dīvāne kī aatī jo bahār
jhuk ke dāman se ham-āġhosh garebāñ hotā
shab-e-mahtāb meñ vo ruḳh se ulaTte jo naqāb
gird phir phir ke tasadduq mah-e-tābāñ hotā
ḳhair guzrī ki tirī bazm meñ behosh the sab
varna jo hosh meñ aatā vo pashemāñ hotā
vāste maiñ ne shab-e-vasl ḳhudā ke bhī diye
maan hī jaatā vo kāfir jo musalmāñ hotā
ai junūñ mujh se qasam le ki bahut muflis huuñ
kyā kafan ke liye rakkhā jo garebāñ hotā
Thokareñ vādī-e-ġhurbat kī na khātā 'safdar'
ai falak us kā bharā ghar jo na vīrāñ hotā
kyon KHayal-e-ruKH-e-mahbub ka ehsan hota
dil jala tha to charagh-e-shab-e-hijran hota
id hoti tere diwane ki aati jo bahaar
jhuk ke daman se ham-aghosh gareban hota
shab-e-mahtab mein wo ruKH se ulaTte jo naqab
gird phir phir ke tasadduq mah-e-taban hota
KHair guzri ki teri bazm mein behosh the sab
warna jo hosh mein aata wo pasheman hota
waste main ne shab-e-wasl KHuda ke bhi diye
man hi jata wo kafir jo musalman hota
ai junun mujh se qasam le ki bahut muflis hun
kya kafan ke liye rakkha jo gareban hota
Thokaren wadi-e-ghurbat ki na khata 'safdar'
ai falak us ka bhara ghar jo na viran hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.