kyon KHayalon mein yar aata hai
kyoñ ḳhayāloñ meñ yaar aatā hai
dil-e-betāb ruk sā jaatā hai
chashm-e-giryāñ se chashm-e-yār talak
taar ashkoñ kā ban sā jaatā hai
kyā ujāloñ se fā.eda us ko
jo añdheroñ se faiz paatā hai
guftugū us se kī to thī maiñ ne
harf-e-matlab zabāñ pe aatā hai
vo hī pā.egā manziloñ kā surāġh
gard rāhoñ meñ jo uḌātā hai
dil taḌaptā hai jab bhī shā.ir kā
rang-e-mahfil tarang paatā hai
kis se kahtā hai mudda.ā apnā
kis ko ġham apnā tū sunātā hai
kyon KHayalon mein yar aata hai
dil-e-betab ruk sa jata hai
chashm-e-giryan se chashm-e-yar talak
tar ashkon ka ban sa jata hai
kya ujalon se faeda us ko
jo andheron se faiz pata hai
guftugu us se ki to thi main ne
harf-e-matlab zaban pe aata hai
wo hi paega manzilon ka suragh
gard rahon mein jo uData hai
dil taDapta hai jab bhi shair ka
rang-e-mahfil tarang pata hai
kis se kahta hai muddaa apna
kis ko gham apna tu sunata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.