kyon le aae sar-e-bazar suno ai logo
kyoñ le aa.e sar-e-bāzār suno ai logo
maiñ na fankār na shahkār suno ai logo
TūTte harfoñ kā nauha huuñ laboñ par chun lo
ik sadā kā huuñ talabgār suno ai logo
har ta'āruf pe nahīñ jhuktī nigāh-e-taslīm
aañkh hotī hai samajhdār suno ai logo
ik siyah-baḳht chamak kar jahāñ bujh jā.egā
koī ho jā.egā bedār suno ai logo
maiñ ki ḳhush huuñ mujhe duurī kā na ehsās dilāo
kyoñ uThāte ho ye dīvār suno ai logo
sūkhe zaḳhmoñ ke chaTakne kī sadā bhī anmol
dil se baḌh kar nahīñ fankār suno a logo
kyon le aae sar-e-bazar suno ai logo
main na fankar na shahkar suno ai logo
TuTte harfon ka nauha hun labon par chun lo
ek sada ka hun talabgar suno ai logo
har ta'aruf pe nahin jhukti nigah-e-taslim
aankh hoti hai samajhdar suno ai logo
ek siyah-baKHt chamak kar jahan bujh jaega
koi ho jaega bedar suno ai logo
main ki KHush hun mujhe duri ka na ehsas dilao
kyon uThate ho ye diwar suno ai logo
sukhe zaKHmon ke chaTakne ki sada bhi anmol
dil se baDh kar nahin fankar suno a logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.