kyon liya tha mera dil dil mujhe wapas kar de
kyoñ liyā thā mirā dil dil mujhe vāpas kar de
chhoḌ ye roz kī kil kil mujhe vāpas kar de
achchhī miss hai koī miss call na message koī
apnī sim le le mobile mujhe vāpas kar de
landline se kiyā kartī thī kyoñ ġhair ko phone
jo adā maiñ ne kiye bill mujhe vāpas kar de
kulche jaise tire ruḳhsāroñ pe jo surme se
maiñ banātā rahā vo til mujhe vāpas kar de
lag gayā Til mirā par maañ tirī raazī na huī
yā manā us ko tū yā Til mujhe vāpas kar de
ik sanam māñgā thā 'gīlānī' ne yā rab na diyā
vo tahajjud ke navāfil mujhe vāpas kar de
kyon liya tha mera dil dil mujhe wapas kar de
chhoD ye roz ki kil kil mujhe wapas kar de
achchhi miss hai koi miss call na message koi
apni sim le le mobile mujhe wapas kar de
landline se kiya karti thi kyon ghair ko phone
jo ada main ne kiye bill mujhe wapas kar de
kulche jaise tere ruKHsaron pe jo surme se
main banata raha wo til mujhe wapas kar de
lag gaya Til mera par man teri raazi na hui
ya mana us ko tu ya Til mujhe wapas kar de
ek sanam manga tha 'gilani' ne ya rab na diya
wo tahajjud ke nawafil mujhe wapas kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.