kyon machalta hai muddaa kya hai
kyoñ machaltā hai mudda.ā kyā hai
dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
us masīhā-nafas se pūchheñge
āḳhir is dard kī davā kyā hai
tum kisī roz aa ke ḳhalvat meñ
kaash pūchho ki mudda.ā kyā hai
dil kabhī un se rasm-o-rāh na rakh
jo nahīñ jānte vafā kyā hai
dil ke chāroñ taraf dhuāñ hī dhuāñ
yā ilāhī ye mājrā kyā hai
apnā kaasa to bhar gayā sāhib
muft haath aa.e to burā kyā hai
aap 'ġhālib' haiñ aap hī jāneñ
abr kyā chiiz hai havā kyā hai
kyon machalta hai muddaa kya hai
dil-e-nadan tujhe hua kya hai
us masiha-nafas se puchhenge
aaKHir is dard ki dawa kya hai
tum kisi roz aa ke KHalwat mein
kash puchho ki muddaa kya hai
dil kabhi un se rasm-o-rah na rakh
jo nahin jaante wafa kya hai
dil ke chaaron taraf dhuan hi dhuan
ya ilahi ye majra kya hai
apna kasa to bhar gaya sahib
muft hath aae to bura kya hai
aap 'ghaalib' hain aap hi jaanen
abr kya chiz hai hawa kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.