kyon meri wahshaton ko tamasha kare koi
kyoñ merī vahshatoñ ko tamāsha kare koī
ā.īna maiñ nahīñ huuñ ki dekhā kare koī
har har nigāh us kī bayābāñ-navard hai
ik dasht apne dil meñ jo paidā kare koī
khiñch kar ab aa gayā hai nigāhoñ meñ soz-e-dil
fikr-e-naqāb āriz-e-zebā kare koī
ik zabt-e-be-mahal ne bharam dil kā rakh liyā
sau guunā hai jo aaj se naala kare koī
nādān kuchh to hotī hai taklīf hijr meñ
kuchh shauq to nahīñ hai ki royā kare koī
afsāna-e-kalīm pe īmān hai mirā
is shauq ko 'munīr' magar kyā kare koī
kyon meri wahshaton ko tamasha kare koi
aaina main nahin hun ki dekha kare koi
har har nigah us ki bayaban-naward hai
ek dasht apne dil mein jo paida kare koi
khinch kar ab aa gaya hai nigahon mein soz-e-dil
fikr-e-naqab aariz-e-zeba kare koi
ek zabt-e-be-mahal ne bharam dil ka rakh liya
sau guna hai jo aaj se nala kare koi
nadan kuchh to hoti hai taklif hijr mein
kuchh shauq to nahin hai ki roya kare koi
afsana-e-kalim pe iman hai mera
is shauq ko 'munir' magar kya kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.