kyon mili hai saza nahin malum
kyoñ milī hai sazā nahīñ ma.alūm
mujh ko apnī ḳhatā nahīñ ma.alūm
maiñ samajhtā thā bā-vafā jis ko
kyoñ huā bevafā nahīñ ma.alūm
muskurāhaT hai sab ke chehre par
kaun rusvā huā nahīñ ma.alūm
maañ ke qadmoñ ko gar nahīñ chūmā
tum ko jannat hai kyā nahīñ ma.alūm
baaġh meñ aaj ek titlī ne
phuul se kyā kahā nahīñ ma.alūm
ho gayā hai marīz-e-ishq 'ahmad'
kyā hai is kī davā nahīñ ma.alūm
kyon mili hai saza nahin malum
mujh ko apni KHata nahin malum
main samajhta tha ba-wafa jis ko
kyon hua bewafa nahin malum
muskurahaT hai sab ke chehre par
kaun ruswa hua nahin malum
man ke qadmon ko gar nahin chuma
tum ko jannat hai kya nahin malum
bagh mein aaj ek titli ne
phul se kya kaha nahin malum
ho gaya hai mariz-e-ishq 'ahmad'
kya hai is ki dawa nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.