kyon musibat mein hun masrur tujhe kya malum
kyoñ musībat meñ huuñ masrūr tujhe kyā mālūm
kyā mohabbat ke haiñ dastūr tujhe kyā mālūm
fitrat-e-husn hai ye ye hai taqāzā-e-shabāb
tū hai kis vāste maġhrūr tujhe kyā mālūm
bāġhbāñ kab kī bahār aa.ī bhī ruḳhsat bhī huī
maiñ qafas meñ huuñ ba-dastūr tujhe kyā mālūm
gardish-e-chashm kī lazzat koī mujh se pūchhe
vaar ochhā hai ki bharpūr tujhe kyā mālūm
na burā maan nasheman ke banāne vaale
barq aadat se hai majbūr tujhe kyā mālūm
saath degā tū kahāñ tak mirī barbādī kā
merī manzil hai bahut duur tujhe kyā mālūm
kyoñ nigāhoñ se hai is darja pareshān 'sa.īd'
yahī rahmat ko hai manzūr tujhe kyā ma.alūm
kyon musibat mein hun masrur tujhe kya malum
kya mohabbat ke hain dastur tujhe kya malum
fitrat-e-husn hai ye ye hai taqaza-e-shabab
tu hai kis waste maghrur tujhe kya malum
baghban kab ki bahaar aai bhi ruKHsat bhi hui
main qafas mein hun ba-dastur tujhe kya malum
gardish-e-chashm ki lazzat koi mujh se puchhe
war ochha hai ki bharpur tujhe kya malum
na bura man nasheman ke banane wale
barq aadat se hai majbur tujhe kya malum
sath dega tu kahan tak meri barbaadi ka
meri manzil hai bahut dur tujhe kya malum
kyon nigahon se hai is darja pareshan 'said'
yahi rahmat ko hai manzur tujhe kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.