kyon na ab uske ru-ba-ru roen
kyoñ na ab us ke rū-ba-rū ro.eñ
ab ke aañsū nahīñ lahū ro.eñ
maiñ ziyāda na aap kam rovo
paas aao ki hū-ba-hū ro.eñ
kaun hai kis ko farq paḌtā hai
ghar meñ ro.eñ ki kū-ba-kū ro.eñ
ḳhushk āñkhoñ kā ronā bhī kyā hai
āñsuoñ se kareñ vuzū ro.eñ
vaqt-e-ruḳhsat hai so ḳhudā ke liye
rakh leñ āñkhoñ kī aabrū ro.eñ
haa.e chhin jā.egā hamārā dard
zaḳhm hone lage rafū ro.eñ
haañ abhī ashk dard dete haiñ
dhīre dhīre banegī ḳhū ro.eñ
ai 'ziyā' tere zaḳhm kī lazzat
dost to dost haiñ adū ro.eñ
kyon na ab us ke ru-ba-ru roen
ab ke aansu nahin lahu roen
main ziyaada na aap kam rowo
pas aao ki hu-ba-hu roen
kaun hai kis ko farq paDta hai
ghar mein roen ki ku-ba-ku roen
KHushk aankhon ka rona bhi kya hai
aansuon se karen wuzu roen
waqt-e-ruKHsat hai so KHuda ke liye
rakh len aankhon ki aabru roen
hae chhin jaega hamara dard
zaKHm hone lage rafu roen
han abhi ashk dard dete hain
dhire dhire banegi KHu roen
ai 'ziya' tere zaKHm ki lazzat
dost to dost hain adu roen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.