kyon na qurban main hun is takrar par
kyoñ na qurbāñ maiñ huuñ is takrār par
pyaar aatā hai tire inkār par
naaz be-jā hai abhī guftār par
faisla baaqī hai jab kirdār par
baam par shāyad vo aa.eñ be-naqāb
chashm-e-hasrat hai dar-o-dīvār par
har kalī hotī hai sadqe sub.h-o-shām
tere gesū aur tire ruḳhsār par
ḳhuun se maiñ ne bhī sīñchā hai chaman
haq hai merā bhī gul-o-gulzār par
ishq meñ dair-o-haram ko bhuul jā
sar jhukā de āstān-e-yār par
ham vafādārī kī ḳhātir mar-miTe
yaar kā lutf-o-karam aġhyār par
husn ke hāthoñ meñ aa.ī shāḳh-e-gul
ishq kī nazreñ rahīñ talvār par
chehra-e-nāhīd-o-parvīñ munfa.il
hai nazar ek matla-e-anvār par
zaḳhm 'aslam' phir hare hone lage
hai masīhā kā karam bīmār par
kyon na qurban main hun is takrar par
pyar aata hai tere inkar par
naz be-ja hai abhi guftar par
faisla baqi hai jab kirdar par
baam par shayad wo aaen be-naqab
chashm-e-hasrat hai dar-o-diwar par
har kali hoti hai sadqe subh-o-sham
tere gesu aur tere ruKHsar par
KHun se main ne bhi sincha hai chaman
haq hai mera bhi gul-o-gulzar par
ishq mein dair-o-haram ko bhul ja
sar jhuka de aastan-e-yar par
hum wafadari ki KHatir mar-miTe
yar ka lutf-o-karam aghyar par
husn ke hathon mein aai shaKH-e-gul
ishq ki nazren rahin talwar par
chehra-e-nahid-o-parwin munfail
hai nazar ek matla-e-anwar par
zaKHm 'aslam' phir hare hone lage
hai masiha ka karam bimar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.