kyon na socha mubtala hote hue
kyoñ na sochā mubtalā hote hue
ro rahe haiñ ab judā hote hue
ab tirā rasta judā merā judā
dekh qismat kā likhā hote hue
maiñ samajhtā huuñ tumhī ko zindagī
soch lenā bevafā hote hue
kyoñ na rotā us kā chehra dekh kar
rang ko dekhā havā hote hue
alvidā'ī shaam aa pahuñchī yahāñ
chup hai tū merā ḳhudā hote hue
vo mirā cafe pe us kā intizār
ḳhvāb sā thā rat-jagā hote hue
kahte the ik dūsre ko zindagī
sharm aatī hai judā hote hue
vo to 'anjum' ḳhvāb thā bas ḳhvāb thā
kab tirā thā vo tirā hote hue
kyon na socha mubtala hote hue
ro rahe hain ab juda hote hue
ab tera rasta juda mera juda
dekh qismat ka likha hote hue
main samajhta hun tumhi ko zindagi
soch lena bewafa hote hue
kyon na rota us ka chehra dekh kar
rang ko dekha hawa hote hue
alwida'i sham aa pahunchi yahan
chup hai tu mera KHuda hote hue
wo mera cafe pe us ka intizar
KHwab sa tha rat-jaga hote hue
kahte the ek dusre ko zindagi
sharm aati hai juda hote hue
wo to 'anjum' KHwab tha bas KHwab tha
kab tera tha wo tera hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.