kyon nahin mujhse puchhta tera dost
kyoñ nahīñ mujh se pūchhtā tirā dost
ḳhair to hai kahāñ gayā tirā dost
raat lambī se lambī hotī ga.ī
mujh se kartā rahā gila tirā dost
dūsrā ishq ho rahā thā hameñ
aur phir ek din milā tirā dost
dost kā dost dost hotā hai
tū mirā dost hai ḳhudā tirā dost
ye azaab us kā ġhussa hai mire dost
ham se nārāz ho gayā tirā dost
pahle ye shaḳhs rotā rahtā thā
ye to phir baad meñ banā tirā dost
kyon nahin mujh se puchhta tera dost
KHair to hai kahan gaya tera dost
raat lambi se lambi hoti gai
mujh se karta raha gila tera dost
dusra ishq ho raha tha hamein
aur phir ek din mila tera dost
dost ka dost dost hota hai
tu mera dost hai KHuda tera dost
ye azab us ka ghussa hai mere dost
hum se naraaz ho gaya tera dost
pahle ye shaKHs rota rahta tha
ye to phir baad mein bana tera dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.