kyon sajaen hain baam-o-dar baba
kyoñ sajā.eñ haiñ bām-o-dar baabā
kaun aatā hai lauT kar baabā
kab mileñ phir kise ḳhabar baabā
dekh leñ us ko ik nazar baabā
maar Dālegā ye safar baabā
kyā hue raah ke shajar baabā
chhoḌ mehr-o-vafā ke afsāne
ab koī aur baat kar baabā
dostī ishq ḳhuun ke rishte
sab ke sab ġhair mo'atabar baabā
raat bhar mere saath jāgtī hai
us kī yādoñ kī dopahar baabā
niiñd kī dushmanī hai āñkhoñ se
yaad aatā hai apnā ghar baabā
kyon sajaen hain baam-o-dar baba
kaun aata hai lauT kar baba
kab milen phir kise KHabar baba
dekh len us ko ek nazar baba
mar Dalega ye safar baba
kya hue rah ke shajar baba
chhoD mehr-o-wafa ke afsane
ab koi aur baat kar baba
dosti ishq KHun ke rishte
sab ke sab ghair mo'atabar baba
raat bhar mere sath jagti hai
us ki yaadon ki dopahar baba
nind ki dushmani hai aankhon se
yaad aata hai apna ghar baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.