kyon toD diye jate hain samar kamzor shajar ki Daliyon se
kyon toD diye jate hain samar kamzor shajar ki Daliyon se
Hina Ambareen
MORE BYHina Ambareen
kyoñ toḌ diye jaate haiñ samar kamzor shajar kī Dāliyoñ se
maike se bhī dil kaT jaatā hai miltā bhī nahīñ sasurāliyoñ se
āñkhoñ meñ utar aatī thī namī ham muḳhlis the par log nahīñ
jazbāt sañbhal nahīñ paate the muñh bhar jaatā thā gāliyoñ se
ik kachchī 'umr kī laḌkī ke kuchh ḳhvāb the kuchh āshā.eñ thiiñ
aur 'ishq thā us ke bachpan kā is baaġh meñ rahne vāliyoñ se
āñkhoñ meñ lajjā kā surma thā gāloñ pe hayā kī laalī thī
māthe pe safedī chāñdī kī kānoñ kī suñdartā bāliyoñ se
'izzat kā kachūmar bantā hai miTTī meñ milātī hai ġhurbat
paise ke pujārī jhukte haiñ karte haiñ suvāgat tāliyoñ se
'ushshāq-e-azal kī qismat meñ likkhī hai sarāsar bezārī
kyā uns kisī but-ḳhāne se kyā nisbat un kī gāliyoñ se
dil lagtī baat kaheñ to ye achchhā jo lage vo achchhā hai
hote haiñ mubarrā 'ishq ke sālik goriyoñ se aur kāliyoñ se
Thukrā.e huoñ ke aaqā haiñ taḌpā.e huoñ ke marham haiñ
kabhī aa ke tasallī ḳhvāb meñ deñ kabhī jhāñkeñ sunahrī jāliyoñ se
kyon toD diye jate hain samar kamzor shajar ki Daliyon se
maike se bhi dil kaT jata hai milta bhi nahin sasuraliyon se
aankhon mein utar aati thi nami hum muKHlis the par log nahin
jazbaat sanbhal nahin pate the munh bhar jata tha galiyon se
ek kachchi 'umr ki laDki ke kuchh KHwab the kuchh aashaen thin
aur 'ishq tha us ke bachpan ka is bagh mein rahne waliyon se
aankhon mein lajja ka surma tha galon pe haya ki lali thi
mathe pe safedi chandi ki kanon ki sundarta baaliyon se
'izzat ka kachumar banta hai miTTi mein milati hai ghurbat
paise ke pujari jhukte hain karte hain suwagat taliyon se
'ushshaq-e-azal ki qismat mein likkhi hai sarasar bezari
kya uns kisi but-KHane se kya nisbat un ki galiyon se
dil lagti baat kahen to ye achchha jo lage wo achchha hai
hote hain mubarra 'ishq ke salik goriyon se aur kaliyon se
Thukrae huon ke aaqa hain taDpae huon ke marham hain
kabhi aa ke tasalli KHwab mein den kabhi jhanken sunahri jaliyon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.