kyon wo mera markaz-e-afkar tha
kyoñ vo merā markaz-e-afkār thā
jis ke hone se mujhe inkār thā
yuuñ to mushkil thī bahut terī talāsh
ḳhud ko apnā aur bhī dushvār thā
us ke hisse meñ dar-o-dīvār the
merā hissa sāya-e-dīvār thā
rafta rafta sab ke jaisā ho gayā
pahle maiñ bhī sāhab-e-kirdār thā
dūriyoñ ne qurbateñ baḳhshīñ hameñ
milnā-julnā bā.is-e-takrār thā
kaise baḌhtā qāfila aage 'faroġh'
har koī jab qāfila-sālār thā
kyon wo mera markaz-e-afkar tha
jis ke hone se mujhe inkar tha
yun to mushkil thi bahut teri talash
KHud ko apna aur bhi dushwar tha
us ke hisse mein dar-o-diwar the
mera hissa saya-e-diwar tha
rafta rafta sab ke jaisa ho gaya
pahle main bhi sahab-e-kirdar tha
duriyon ne qurbaten baKHshin hamein
milna-julna bais-e-takrar tha
kaise baDhta qafila aage 'farogh'
har koi jab qafila-salar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.