kyon ye dhoke mein paDa bhai tera kuchh bhi nahin
kyon ye dhoke mein paDa bhai tera kuchh bhi nahin
Husain Khan Jhanjhat
MORE BYHusain Khan Jhanjhat
kyoñ ye dhoke meñ paḌā bhaa.ī tirā kuchh bhī nahīñ
tū jo kahtā hai mirā bhaa.ī tirā kuchh bhī nahīñ
vaqt ik jhoñkā havā kā hai Thahartā hī nahīñ
is pe aañsū na bahā bhaa.ī tirā kuchh bhī nahīñ
kyā sikandar kī savāneh tujhe mālūm nahīñ
soch is par bhī zarā bhaa.ī tirā kuchh bhī nahīñ
lauT jaanā hai bahar-hāl sabhī ko ik din
shor itnā na machā bhaa.ī tirā kuchh bhī nahīñ
phañs ke duniyā ke jhameloñ meñ na tū 'jhanjhaT' kar
raal is par na girā bhaa.ī tirā kuchh bhī nahīñ
kyon ye dhoke mein paDa bhai tera kuchh bhi nahin
tu jo kahta hai mera bhai tera kuchh bhi nahin
waqt ek jhonka hawa ka hai Thaharta hi nahin
is pe aansu na baha bhai tera kuchh bhi nahin
kya sikandar ki sawaneh tujhe malum nahin
soch is par bhi zara bhai tera kuchh bhi nahin
lauT jaana hai bahar-haal sabhi ko ek din
shor itna na macha bhai tera kuchh bhi nahin
phans ke duniya ke jhamelon mein na tu 'jhanjhaT' kar
ral is par na gira bhai tera kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.