kyon ye husn-e-nazar diya tu ne
kyoñ ye husn-e-nazar diyā tū ne
vaqf-e-ālām kar diyā tū ne
mundamil jo kabhī na ho paa.e
aisā zaḳhm-e-jigar diyā tū ne
kaun mansūr jo chaḌhe suulī
yuuñ to sab ko jigar diyā tū ne
Dūbtī nabz karb sannāTe
aur hukm-e-safar diyā tū ne
zindagī chhāñv ko tarastī hai
kaisā jaltā safar diyā tū ne
taaj bante hī haath kaTte haiñ
kaisā dast-e-hunar diyā tū ne
is jahāñ kā har ek ġham lā kar
mere dāman meñ bhar diyā tū ne
sab ke hāthoñ meñ de diye patthar
mujh ko shīshe kā ghar diyā tū ne
jis ne mujh ko vaqār baḳhshā hai
vo ġham-e-mo'tabar diyā tū ne
kyon ye husn-e-nazar diya tu ne
waqf-e-alam kar diya tu ne
mundamil jo kabhi na ho pae
aisa zaKHm-e-jigar diya tu ne
kaun mansur jo chaDhe suli
yun to sab ko jigar diya tu ne
Dubti nabz karb sannaTe
aur hukm-e-safar diya tu ne
zindagi chhanw ko tarasti hai
kaisa jalta safar diya tu ne
taj bante hi hath kaTte hain
kaisa dast-e-hunar diya tu ne
is jahan ka har ek gham la kar
mere daman mein bhar diya tu ne
sab ke hathon mein de diye patthar
mujh ko shishe ka ghar diya tu ne
jis ne mujh ko waqar baKHsha hai
wo gham-e-mo'tabar diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.