kyun bagulon ki justuju kije
kyuuñ bagūloñ kī justujū kiije
dil kahāñ tak lahū lahū kiije
kho ga.iiñ ham-navā.iyāñ saarī
apne saa.e se guftugū kiije
dekhiye vaqt kis tarah guzrā
ḳhud ke shīshe ke rū-ba-rū kiije
aarzū hī to zindagī hai yahāñ
zindagī hai to aarzū kiije
le chukī intiqām-e-ḳhāmoshī
ab to kuchh ham se guftugū kiije
kyun bagulon ki justuju kije
dil kahan tak lahu lahu kije
kho gain ham-nawaiyan sari
apne sae se guftugu kije
dekhiye waqt kis tarah guzra
KHud ke shishe ke ru-ba-ru kije
aarzu hi to zindagi hai yahan
zindagi hai to aarzu kije
le chuki intiqam-e-KHamoshi
ab to kuchh hum se guftugu kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.