kyun bahaar aate hi pahlu mein bujha aap hi aap
kyuuñ bahār aate hī pahlū meñ bujhā aap hī aap
yā-ilāhī mire dil ko huā kyā aap hī aap
ḳhat meñ likkhā huā aa.egā judā.ī kā payām
ḳhvāb meñ ḳhat ke hue harf judā aap hī aap
nabzeñ Duubī huī bīmār kī paa.eñ shāyad
haath mil kar koī bālīñ se uThā aap hī aap
na talab thī mire dil kī na ishāra un kā
jaam lene ko mirā haath baḌhā aap hī aap
'ishq-e-sādiq kā kahīñ zikr huā thā shāyad
us ne mahfil meñ mirā naam liyā aap hī aap
sham'-e-mahfil tumheñ kahtā thā zamāna dekhā
huā parvāna-e-dil uḌ ke fidā aap hī aap
jazb-e-dil kā ye asar bazm-e-adū meñ bhī huā
kasmasāte hue kuchh us ne kahā aap hī aap
shoḳhī-e-husn jigar-soz kā iimā ye na thā
bigḌī hai sham' kī mahfil meñ havā aap hī aap
tum ne dushman se kahīñ aañkh laḌā.ī hogī
kyuuñ huā tīr-e-nazar aaj ḳhatā aap hī aap
'shād' ne aaj ye maqtal meñ tamāshā dekhā
dast-e-qātil se lagī uḌne hinā aap hī aap
kyun bahaar aate hi pahlu mein bujha aap hi aap
ya-ilahi mere dil ko hua kya aap hi aap
KHat mein likkha hua aaega judai ka payam
KHwab mein KHat ke hue harf juda aap hi aap
nabzen Dubi hui bimar ki paen shayad
hath mil kar koi baalin se uTha aap hi aap
na talab thi mere dil ki na ishaara un ka
jam lene ko mera hath baDha aap hi aap
'ishq-e-sadiq ka kahin zikr hua tha shayad
us ne mahfil mein mera nam liya aap hi aap
sham'-e-mahfil tumhein kahta tha zamana dekha
hua parwana-e-dil uD ke fida aap hi aap
jazb-e-dil ka ye asar bazm-e-adu mein bhi hua
kasmasate hue kuchh us ne kaha aap hi aap
shoKHi-e-husn jigar-soz ka ima ye na tha
bigDi hai sham' ki mahfil mein hawa aap hi aap
tum ne dushman se kahin aankh laDai hogi
kyun hua tir-e-nazar aaj KHata aap hi aap
'shad' ne aaj ye maqtal mein tamasha dekha
dast-e-qatil se lagi uDne hina aap hi aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.