kyun chalti zamin ruki hui hai
kyuuñ chaltī zamīñ rukī huī hai
kyā mere ta.iiñ rukī huī hai
saa.e ko ravāna kar diyā hai
dīvār kahīñ rukī huī hai
ḳhvāboñ se udaas ho ke ta.abīr
palkoñ ke qarīñ rukī huī hai
mausam kā lihāz hai havā ko
yūñhī to nahīñ rukī huī hai
maiñ aate dinoñ se jā milā huuñ
duniyā to vahīñ rukī huī hai
kyun chalti zamin ruki hui hai
kya mere tain ruki hui hai
sae ko rawana kar diya hai
diwar kahin ruki hui hai
KHwabon se udas ho ke tabir
palkon ke qarin ruki hui hai
mausam ka lihaz hai hawa ko
yunhi to nahin ruki hui hai
main aate dinon se ja mila hun
duniya to wahin ruki hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.