kyun Daraate ho mujhe maut ka saya ban kar
kyuuñ Darāte ho mujhe maut kā saayā ban kar
mere siine meñ utar jaao ujālā ban kar
kyuuñ nahīñ chalte ki jaanā hai bahut duur abhī
kyuuñ yahāñ ruk ga.e bekār tamāshā ban kar
TuuT kar bujh ga.e ākāsh ke saare sūraj
aur maiñ rah gayā is dahr meñ andhā ban kar
maiñ hī ik zahr lagā apnoñ ko begānoñ ko
maiñ hī ik qatl huā shahr meñ sachchā ban kar
kyuuñ bhalā chhoḌ nahīñ detā vo tanhā mujh ko
kyuuñ mire saath lagā rahtā hai saayā ban kar
kyun Daraate ho mujhe maut ka saya ban kar
mere sine mein utar jao ujala ban kar
kyun nahin chalte ki jaana hai bahut dur abhi
kyun yahan ruk gae bekar tamasha ban kar
TuT kar bujh gae aakash ke sare suraj
aur main rah gaya is dahr mein andha ban kar
main hi ek zahr laga apnon ko beganon ko
main hi ek qatl hua shahr mein sachcha ban kar
kyun bhala chhoD nahin deta wo tanha mujh ko
kyun mere sath laga rahta hai saya ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.