kyun dekhte hi naqsh-ba-diwar ban gae
kyuuñ dekhte hī naqsh-ba-dīvār ban ga.e
tum aa.ine meñ kis ke ḳharīdār ban ga.e
bijlī chhalāvā fitna qayāmat ġhazab balā
maiñ kyā kahūñ vo kyā dam-e-raftār ban ga.e
bāzār-e-dahr kā to yahī kārobār hai
do-chār agar bigaḌ ga.e do-chār ban ga.e
ik sair thī maze kī ye ārā.ishoñ ke vaqt
sau baar vo bigaḌ ga.e sau baar ban ga.e
haañ haañ unhīñ ke pīchhe to dī hai 'sharaf' ne jaan
aa kar hañsī-ḳhushī jo azā-dār ban ga.e
kyun dekhte hi naqsh-ba-diwar ban gae
tum aaine mein kis ke KHaridar ban gae
bijli chhalawa fitna qayamat ghazab bala
main kya kahun wo kya dam-e-raftar ban gae
bazar-e-dahr ka to yahi karobar hai
do-chaar agar bigaD gae do-chaar ban gae
ek sair thi maze ki ye aaraishon ke waqt
sau bar wo bigaD gae sau bar ban gae
han han unhin ke pichhe to di hai 'sharaf' ne jaan
aa kar hansi-KHushi jo aza-dar ban gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.