kyun gham-e-raftagan kare koi
kyuuñ ġham-e-raftagāñ kare koī
fikr-e-vāmāñdgāñ kare koī
tere āvārgān-e-ġhurbat ko
shāmil kārvāñ kare koī
zindagī ke azaab kyā kam haiñ
kyuuñ ġham-e-lā-makāñ kare koī
dil Tapakne lagā hai āñkhoñ se
ab kise rāzdāñ kare koī
us chaman meñ ba-rañg-e-nik.hat-e-gul
umr kyuuñ rā.egāñ kare koī
shahr meñ shor ghar meñ tanhā.ī
dil kī bāteñ kahāñ kare koī
ye ḳharābe zarūr chamkeñge
e'tibār-e-ḳhizāñ kare koī
kyun gham-e-raftagan kare koi
fikr-e-wamandgan kare koi
tere aawargan-e-ghurbat ko
shamil karwan kare koi
zindagi ke azab kya kam hain
kyun gham-e-la-makan kare koi
dil Tapakne laga hai aankhon se
ab kise raazdan kare koi
us chaman mein ba-rang-e-nikhat-e-gul
umr kyun raegan kare koi
shahr mein shor ghar mein tanhai
dil ki baaten kahan kare koi
ye KHarabe zarur chamkenge
e'tibar-e-KHizan kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.