kyun hai kah aaina is darja tu hairan mujhse
kyuuñ hai kah ā.īna is darja tū hairāñ mujh se
apnī rūdād ko mat kījiyo pinhāñ mujh se
huuñ havā-ḳhvāh maiñ ai gul tirā jiyūñ mauj-e-nasīm
ġhuncha-sāñ kab hai girah kā tire nuqsāñ mujh se
chashm-e-mast us kī ne dil toḌ ke pherī hai nazar
ki na māñge kahīñ is shīsha kā tāvāñ mujh se
tiir ne ḳhvāb meñ hamdard jo paayā apnā
dard-e-dil kahne lagā ho ke vo giryāñ mujh se
ram kā hirnoñ ke bagūle kī bhī betābī kā
raaz sab vaaz kiyā phaaḌ garebāñ mujh se
garm rakhtā thā kahā madrasa jab vaadī kā
ilm-e-vahshat kiye tahsīl ġhazālāñ mujh se
sar par ab ḳhaak uḌātā huā phirtā huuñ 'ishq'
saaf dekhā to na thī ḳhātir-e-yārāñ mujh se
kyun hai kah aaina is darja tu hairan mujh se
apni rudad ko mat kijiyo pinhan mujh se
hun hawa-KHwah main ai gul tera jiyun mauj-e-nasim
ghuncha-san kab hai girah ka tere nuqsan mujh se
chashm-e-mast us ki ne dil toD ke pheri hai nazar
ki na mange kahin is shisha ka tawan mujh se
tir ne KHwab mein hamdard jo paya apna
dard-e-dil kahne laga ho ke wo giryan mujh se
ram ka hirnon ke bagule ki bhi betabi ka
raaz sab waz kiya phaD gareban mujh se
garm rakhta tha kaha madrasa jab wadi ka
ilm-e-wahshat kiye tahsil ghazalan mujh se
sar par ab KHak uData hua phirta hun 'ishq'
saf dekha to na thi KHatir-e-yaran mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.