kyun ju-e-rawan aa ke yun aankhon mein khaDi hai
kyuuñ jū-e-ravāñ aa ke yuuñ āñkhoñ meñ khaḌī hai
lagtā hai pahāḌoñ pe kahīñ barf paḌī hai
ai dard kabhī uTh bhī sahī tañgi-e-dil se
muddat se dar-e-dil pe koī yaad khaḌī hai
manzil ko chale yā kisī maqtal ko chale haiñ
har raah yuuñ lagtī hai ki zanjīr paḌī hai
yūñhī to nahīñ baiTh ga.e jhaaḌ ke dāman
mahrūmī-e-taqdīr se ummīd baḌī hai
do din kī mohabbat ne dī ye hastī-e-jāved
ik pal bhī nahīñ kaTtī abhī umr paḌī hai
yuuñ ham ne nikālī hai tirī rāh-e-mulāqāt
yuuñ hijr tire diid kī barakat kī ghaḌī hai
har sub.h tirī chashm-e-fusūñ-sāz kā ġhamza
har shaam tire lab se hañsī phuuT paḌī hai
din hai to hai mahkā tire ruḳhsār kā ġhāza
shab hai to tirī maañg sitāroñ se jaḌī hai
kyun ju-e-rawan aa ke yun aankhon mein khaDi hai
lagta hai pahaDon pe kahin barf paDi hai
ai dard kabhi uTh bhi sahi tangi-e-dil se
muddat se dar-e-dil pe koi yaad khaDi hai
manzil ko chale ya kisi maqtal ko chale hain
har rah yun lagti hai ki zanjir paDi hai
yunhi to nahin baiTh gae jhaD ke daman
mahrumi-e-taqdir se ummid baDi hai
do din ki mohabbat ne di ye hasti-e-jawed
ek pal bhi nahin kaTti abhi umr paDi hai
yun hum ne nikali hai teri rah-e-mulaqat
yun hijr tere did ki barakat ki ghaDi hai
har subh teri chashm-e-fusun-saz ka ghamza
har sham tere lab se hansi phuT paDi hai
din hai to hai mahka tere ruKHsar ka ghaza
shab hai to teri mang sitaron se jaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.