kyuuñ kahte ho kyā merī jafā ko nahīñ dekhā
aate hue kah kah ke qazā ko nahīñ dekhā
ā.īna-e-kaunain haiñ donoñ mirī āñkheñ
tum ko nahīñ dekhā ki ḳhudā ko nahīñ dekhā
dekhe to koī tez-ravī umr-e-ravāñ kī
phir kar kabhī naqsh-e-kaf-e-pā ko nahīñ dekhā
har ḳhaar se yuuñ pūchhtī hai dasht meñ lailā
tum ne to kisī ābla-pā ko nahīñ dekhā
kis ġhash pe tumheñ naaz hai ai hazrat-e-mūsā
un kī nigah-e-hosh-rubā ko nahīñ dekhā
ā.īna-e-vahdat hai dil-e-sāf hamārā
kis but meñ nazar shān-e-ḳhudā ko nahīñ dekhā
kyun kahte ho kya meri jafa ko nahin dekha
aate hue kah kah ke qaza ko nahin dekha
aaina-e-kaunain hain donon meri aankhen
tum ko nahin dekha ki KHuda ko nahin dekha
dekhe to koi tez-rawi umr-e-rawan ki
phir kar kabhi naqsh-e-kaf-e-pa ko nahin dekha
har KHar se yun puchhti hai dasht mein laila
tum ne to kisi aabla-pa ko nahin dekha
kis ghash pe tumhein naz hai ai hazrat-e-musa
un ki nigah-e-hosh-ruba ko nahin dekha
aaina-e-wahdat hai dil-e-saf hamara
kis but mein nazar shan-e-KHuda ko nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.