kyun KHayal-e-ranj-o-rahat se na hon begana hum
kyuuñ ḳhayāl-e-ranj-o-rāhat se na hoñ begāna ham
jalva-gāh-e-yār hai dil yā'nī ḳhalvat-ḳhāna ham
haiñ kabhī vā'iz kabhī haiñ murshid-e-mai-ḳhāna ham
ghūmte jaate haiñ hasb-e-gardish-e-paimāna ham
laakh par bhārī haiñ terī dast-gīrī chāhiye
kyuuñ kisī pe baar hoñ ai himmat-e-mardāna ham
khā.iye ye zahr kab tak khaa.e jaatī hai ye ziist
ai ajal kab tak raheñge rahn-e-āb-o-dāna ham
tū hameñ kahtā hai dīvāna to dīvāne sahī
pand-go āḳhir tujhe ab kyā kaheñ dīvāna ham
mudda.ī dil 'ishq ā.īn-o-adālat bazm-e-nāz
dīd-bāzī jurm mujrim aañkh hai jurmāna ham
āb-e-ashk-o-ātish-e-shauq-o-havā-e-āh se
haiñ vajūd-ārā.ī-e-ḳhākistar-e-parvāna ham
gum hai nām-e-āmirī ḳhuub ai nigāh-e-sāmrī
tere afsūñ se bane haiñ zīnat-e-afsāna ham
vaj.h-e-rusvā.ī hai 'nātiq' mastī-e-bazm-e-suḳhan
bāda-paimā haiñ ba-jām-e-ġhālib-e-mastāna ham
kyun KHayal-e-ranj-o-rahat se na hon begana hum
jalwa-gah-e-yar hai dil ya'ni KHalwat-KHana hum
hain kabhi wa'iz kabhi hain murshid-e-mai-KHana hum
ghumte jate hain hasb-e-gardish-e-paimana hum
lakh par bhaari hain teri dast-giri chahiye
kyun kisi pe bar hon ai himmat-e-mardana hum
khaiye ye zahr kab tak khae jati hai ye zist
ai ajal kab tak rahenge rahn-e-ab-o-dana hum
tu hamein kahta hai diwana to diwane sahi
pand-go aaKHir tujhe ab kya kahen diwana hum
muddai dil 'ishq aain-o-adalat bazm-e-naz
did-bazi jurm mujrim aankh hai jurmana hum
aab-e-ashk-o-atish-e-shauq-o-hawa-e-ah se
hain wajud-arai-e-KHakistar-e-parwana hum
gum hai nam-e-amiri KHub ai nigah-e-samri
tere afsun se bane hain zinat-e-afsana hum
wajh-e-ruswai hai 'natiq' masti-e-bazm-e-suKHan
baada-paima hain ba-jam-e-ghaalib-e-mastana hum
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.