kyun kisi ne tumhein roka to na tha aa jate
kyuuñ kisī ne tumheñ rokā to na thā aa jaate
aur anjān bhī rasta to na thā aa jaate
is se pahle ye bahāna to na thā aa jaate
darmiyāñ apne zamāna to na thā aa jaate
vahm hai aap kā aisā to na thā aa jaate
bazm meñ ġhair kā charchā to na aa jaate
hāl-e-bīmār bhī achchhā to na thā aa jaate
zaḳhm mujh par koī taaza to na thā aa jaate
raat Thahrī huī thī aur fazā thī gum-sum
chāñd bhī baam se utrā to na thā aa jaate
kyun kisi ne tumhein roka to na tha aa jate
aur anjaan bhi rasta to na tha aa jate
is se pahle ye bahana to na tha aa jate
darmiyan apne zamana to na tha aa jate
wahm hai aap ka aisa to na tha aa jate
bazm mein ghair ka charcha to na aa jate
haal-e-bimar bhi achchha to na tha aa jate
zaKHm mujh par koi taza to na tha aa jate
raat Thahri hui thi aur faza thi gum-sum
chand bhi baam se utra to na tha aa jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.