kyun lage hai mujhko aksar ye jahan dekha hua
kyun lage hai mujhko aksar ye jahan dekha hua
Talha Gauhar Chishtii
MORE BYTalha Gauhar Chishtii
kyuuñ lage hai mujh ko aksar ye jahāñ dekhā huā
chāñd sūraj kahkashā.eñ āsmāñ dekhā huā
dekhā hai jab se tumheñ lagtā hai kuchh dekhā nahīñ
zo.am thā mujh ko ki hai saarā jahāñ dekhā huā
tum mujhe hairān bhī kar sakte ho sochā na thā
aisā chehra aañkh ne thā hī kahāñ dekhā huā
dekh rakkhe dostī ke naam par dhoke bahut
ishq meñ bhī dil ko maiñ ne bad-gumāñ dekhā huā
jis ke baa.is ik chakorī chāñd kī jānib uḌe
ham ne 'gauhar' hai vo jazb-e-āshiqāñ dekhā huā
kyun lage hai mujh ko aksar ye jahan dekha hua
chand suraj kahkashaen aasman dekha hua
dekha hai jab se tumhein lagta hai kuchh dekha nahin
zoam tha mujh ko ki hai sara jahan dekha hua
tum mujhe hairan bhi kar sakte ho socha na tha
aisa chehra aankh ne tha hi kahan dekha hua
dekh rakkhe dosti ke nam par dhoke bahut
ishq mein bhi dil ko main ne bad-guman dekha hua
jis ke bais ek chakori chand ki jaanib uDe
hum ne 'gauhar' hai wo jazb-e-ashiqan dekha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.