kyun main bar-e-digar jaun
kyuuñ maiñ bār-e-digar jā.ūñ
phir se us ke dar jā.ūñ
tujh āñkhoñ se jahāñ dekhūñ
be-rañgī se Dar jā.ūñ
tū chāhe to jī uTThūñ
tū chāhe to mar jā.ūñ
maiñ be-ant samundar huuñ
kaise dariyā meñ utar jā.ūñ
chādar-e-shab huuñ maiñ terī
tū oḌhe to sañvar jā.ūñ
ḳhvāb na dekhūñ to 'amabar'
shāyad maiñ bhī mar jā.ūñ
kyun main bar-e-digar jaun
phir se us ke dar jaun
tujh aankhon se jahan dekhun
be-rangi se Dar jaun
tu chahe to ji uTThun
tu chahe to mar jaun
main be-ant samundar hun
kaise dariya mein utar jaun
chadar-e-shab hun main teri
tu oDhe to sanwar jaun
KHwab na dekhun to 'amabar'
shayad main bhi mar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.