kyun mere dukh chunte ho
kyuuñ mere dukh chunte ho
tum mere kyā lagte ho
mujh ko joḌne baiThe ho
andar se ḳhud TuuTe ho
mere dukh kī taheñ hazār
kyuuñ ḳhud ko uljhāte ho
mujh ko sab kuchh maan liyā
tum bhī kitne bhole ho
pyaar mohabbat ishq vafā
kaisī bāteñ karte ho
dhyān ke kore kāġhaz par
kyā kyā likhte rahte ho
duniyā sab kuchh paḌhtī hai
duniyā ko kyā samjhe ho
maiñ ik āvāra jhoñkā
ghar meñ kab tak rakhte ho
kyun mere dukh chunte ho
tum mere kya lagte ho
mujh ko joDne baiThe ho
andar se KHud TuTe ho
mere dukh ki tahen hazar
kyun KHud ko uljhate ho
mujh ko sab kuchh man liya
tum bhi kitne bhole ho
pyar mohabbat ishq wafa
kaisi baaten karte ho
dhyan ke kore kaghaz par
kya kya likhte rahte ho
duniya sab kuchh paDhti hai
duniya ko kya samjhe ho
main ek aawara jhonka
ghar mein kab tak rakhte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.