Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun mil rahi hai un ko saza chiKHti rahi

Syed Anwar Ahmad

kyun mil rahi hai un ko saza chiKHti rahi

Syed Anwar Ahmad

MORE BYSyed Anwar Ahmad

    Interesting Fact

    the first three couplets point to the massive earthquake that devastated Kashmir

    kyuuñ mil rahī hai un ko sazā chīḳhtī rahī

    sunsān vādiyoñ meñ havā chīḳhtī rahī

    hoñToñ larzishoñ meñ rahe harf munjamid

    siine meñ dafn ho ke duā chīḳhtī rahī

    sadme shiddatoñ se har ik aañkh ḳhushk thī

    ye dekh kar falak pe ghaTā chīḳhtī rahī

    ik maslahat ke sāmne majbūr to hue

    lekin qadam qadam pe anā chīḳhtī rahī

    ruḳhsat hue to rail siiTī meñ der tak

    aisā lagā ki jaise vafā chīḳhtī rahī

    kyun mil rahi hai un ko saza chiKHti rahi

    sunsan wadiyon mein hawa chiKHti rahi

    honTon ki larzishon mein rahe harf munjamid

    sine mein dafn ho ke dua chiKHti rahi

    sadme ki shiddaton se har ek aankh KHushk thi

    ye dekh kar falak pe ghaTa chiKHti rahi

    ek maslahat ke samne majbur to hue

    lekin qadam qadam pe ana chiKHti rahi

    ruKHsat hue to rail ki siTi mein der tak

    aisa laga ki jaise wafa chiKHti rahi

    Source :
    • Book : Gulab Khilty Hain (Pg. 121)
    • Author : Dr. Syed Anwar Ahmad
    • Publication : Jahangir Books (2013)
    • Edition : 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now